
Ha toh khoon hua, inn haathon khoon hua Jazbaaton mai, inn haathon se yeh khoon hua Ha toh khoon hua, inn haathon khoon hua Kalam ka kaatil aur junoon ab yeh sukoon hua. (x2) Haath jod, aakhein moond, kisse maangu maafi? Kya iss paap ke liye koi saza hai kaafi? Khatam kiya hai sabkuch, ab kya bacha hai baaki? Uski aakhein ab na rahi hai uski maa si Boye thhe beej pyaar se, kitni ummidein thi Na jaane meri baatein kyu itni nukili thi Maar diye sapne apne hi paidaish ke Usse zyada pyaari kyu hai khudki khwahishein? Dard, dard, zakhm na hai fir bhi dard zyada Hasi-khushi ko na jagah, bana woh sakht zyada Uske liye sirf zaroori ab kamai hai Dhire dhire ban raha meri parchai hai Bhari bhari meri aakhein ab Kyu ruka hu mai uske jaane tak Aasu bahakar batane sach Iss duniya ko taaki woh jaane ab Yeh baap hi hai woh jo ab tere sapno ka kasai hai Laayi maine tabahi hai Kya hoga ab inteqaam? Na jaane kyu karna hai ab intezar? Kaisa hai mera ab imtihaan, pyaar hamesha se beintehaa Fir bhi yeh soch, samaj, yeh khauf jo aaj ke log kahenge kya? Sochkar tha mai ban gaya jo kabhi na banna tha Ha toh khoon hua, inn haathon khoon hua Jazbaaton mai, inn haathon se yeh khoon hua Ha toh khoon hua, inn haathon khoon hua Kalam ka kaatil aur junoon ab yeh sukoon hua. (x2)
Песен-НИКИ
Загрузка...
Другие песни Brayne Dead
Все песни →Похожие песни

Бигасс
SODA LUV
Ничего личного
Русский рэп201975,449

Бандана
Платина
РНБ КЛУБ
Русский рэп201859,980

Свадебное путешествие
Александр Буйнов
Острова любви
Русская эстрада199954,906

Каспий жағалауы
Azamat
Поп200134,438

Шпилька-каблучок
Лолита
Анатомия
Русская эстрада201433,308

Девочка 2D
Dead Rave
Singles 15-17
Русский рэп201828,891
